hone ko aai subh to thandi hawa chali kya dhimi dhimi chaal se ye khush-ada chali lahra diya hai khet ko hilti hain baaliyan paude bhi jhumte hain lachakti hain daliyan phulwariyon mein taza shagufe khila chali soya hua tha sabza use to jaga chali sarsabz hon darakht na baghon mein tujh baghair tere hi dam-qadam se hai bhati chaman ki sair pad jae is jahan mein teri agar kami chaupaya koi zinda bache aur na aadmi chidiyon ko ye udan ki taqat kahan rahe phir kaen kaen ho na ghutarghun na chahchahe bandon ko chahiye ki karen bandagi ada us ki ki jis ke hukm se chalti hai ye sada