kal shab main shahr-e-ishq se lauta jo apne ghar darwaze tane kasne laga mere haal par bola daricha kaise akele idhar janab kyon aur kahan pe chhut gaya ham-safar janab chup jo hua daricha to gunji sada-e-baam ab kar sakoge sae tale mere tum qiyam diwar boli karke mukhatab tamam ko muhtaj ho gaya hai bechaara kalam ko ek ho gae daricha-o-diwar-o-baam-o-dar main chup hi tha ki bol pada sara ghar ka ghar pai thi kaenat hi tum ne to pyar mein kyon lut ke phir tum aa gae ho is hisar mein