hawa jab tez chalti hai shikasta khwab jab matiyale raston par murad-e-amn pakadte hain jhuki shakhon ke honton par kisi bhule hue naghme ki tanen jab ulatti hain guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain sitare jab larazte hain meri aankhon ki sarhad par ufuq dhund lane lagta hai mahak aate dinon ki phail jati hai masham-e-jaan mein ek munh-zor khwahish maut ban kar jagti hai jab guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain gale jab waqt milte hain tere mere zamanon ke parinde udne lagte hain sahar jab dhimi dhimi dastakon mein nind ki jholi mein girti hai main tere hath khwabon ke phisalte lams par mahsus karta hun tere honton ki larzish mujh se rukhsat mein lipatti hai main tujh ko dekh sakta hun mujhe phir mil sakega wahima jis qaid mein aa kar meri umren sanwarti hain wo mausam jis mein tere nam ki khushbu meri sansen bhigoti hai wahi ek sham jis aanchal mein mera dil dhadakta hai wahi ek zindagi jis mein guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain