kaun se des ki babat puchhe waqt ke dasht mein phirti ye khunuk sard hawa kin zamanon ki ye madfun mahak bad-numa shahr ki galiyon mein udi phirti hai aur ye dur talak phaili hui nind aur khwab se bojhal bojhal eatibar aur yaqin ki manzil jis ki taid mein har shai hai baqa hai lekin apne manzar ke andheron se pare hum khunuk sard hawa sun bhi saken hum ki kis des ki pahchan mein hain hum ki kis lams ki taid mein hain hum ki kis zoam ki taufiq mein hain hum ki ek zabt-e-musalsal hain zamanon ke abad se larzan wahm ke ghar ke makin apne hi des mein pardes liye phirte hain hum ki ek bhes liye phirte hain