haweli maut ki dahliz par kab se khadi hai chand ne bujh kar sitaron ne udasi odh kar phulon ne khushbu ka libaada phenk kar mahaul pas-az-marg ka tayyar kar dala hai bas ek aakhiri hichki ke sab hain muntazir sare aizza-o-aqarib nauha-khwani ke liye tayyar baithe hain haweli maut ki dahliz par kab se khadi hai us ke marne mein agar kuchh der baqi hai to chal kar dusre kuchh kaam kar dalen sadi ka dusra ashra nae aaghaz ke pul par khada ho kar samundar ki bipharti mauj ko lalkarta hai waqt ke ghawwas sipon mein guhar khagante hain ibn-e-adam ke qabile ruh-e-mashriq ki purani ghatiyon se ek ek kar ke nikalte hain bukhara o samarqand uzbekistan o hirat sab pe chhai hai andheri sakht raat lucknow aur akbarabad apni shaukat kho rahe hain marhaba sham-e-ghariban ab to chal kar dusre kuchh kaam kar dalen haweli maut ki dahliz par kab se khadi hai