duaen aur duaon se bhari be-ant tahriren mujhe har sal ke in aakhiri lamhon mein milti hain mere ahbab ke namon mein aksar darj hota hai khuda mahfuz rakkhe sal bhar mujh ko balaon se mujhe zahr ab main lipti hawaen chhu ke na guzrin mujhe maujud aur aane wale sal ke lamhe mubarak dar mubarak hon yahi tahrir main ahbab ko wapas lutata hun yahi jazbaat mere doston ke nam hote hain magar phir waqt ke hathon na jaane kya guzarti hai ki jo bhi tir aata hai usi jaanib se aata hai jahan se itr mein duba hua paigham aaya tha jahan se sal bhar mahfuz rahne ka hasin malfuf mere nam aaya tha