kaha ek bhed ne kuchh memanon se mere pyaro hamesha sath rewad ke raho tumhaare daen baen aage pichhe koi ho jo dhaal ki surat muhafiz ho charagahon se bahar jagmagate raste tum ko bulaenge chamakti lahlahati khasta hariyali lubhaegi tumhaare dil ko khinchegi tum apne panw apne hath mein rakhna na hone ko na ho kuchh bhi magar hone ko ho sakta hai kuchh bhi suno aise kisi anjaan raste par kisi be-dhyan lamhe mein achanak bhediye hamla jo kar den dil-e-dahshat-zada mein ek dahlati hui khwahish ba-sad-hasrat umadti hai ragon mein sansanati hai ye kahti hai ki hae kash un kutton ki sun lete jo din bhar bhaunkte the