hijr ki raaten kali kali is par yaad kisi ki jari aise gahre sannate mein kis se kahen hum gham ki kahani duniya sari soti hai tare ginna bechaini mein aahen bharna betabi mein aah hamari sone walo is haalat mein lachaari mein raat basar yun hoti hai kushta-e-gham ki ab turbat par hasrat roti hai hasrat par ek udasi ka aalam hai sone wale ki qismat par sham-e-baalin roti hai jis mein hasrat ki basti hai jis ki bulandi har pasti hai yani jis ko dil kahte hain jis par sab duniya hansti hai ek anokha moti hai charkh ne bedardi be-rahmi sach to yahi hai us se sikhi aao 'alim' kuchh to batao sab kuchh hai par yas kisi ki yaad bhala kyun khoti hai