ye shahar chahe hazar sadiyon ki jiddaton ka libas pahne yahan ke basi bhale koi bhi zaban bolen wafa ke mani wafa rahenge dilon ke mausam mein pat-jhadon ka sawal kaisa khizan se mohlat na pane wale hawa ki baaton mein aane wale larazte girte bikharte patte junun ki shakhon pe ishq ban kar uga karenge bichhadte rasto kisi ke naqsh-e-qadam pe likkhi mohabbaton ka khayal karna kabhi andhere mein dhup nikle to chandni se sawal karna wo aadmi jo hawa se khushbu nithaar leta tha ab kahan hai dhuen ko wapas jo shoalagi mein utar leta tha ab kahan hai wo apni wahshat ke bal pe zinda wafa ke mausam ka ek parinda jo dil ke pinjre mein be-gunahi bhugat raha hai sukun na aae to us se milna kabhi mohabbat mein gharq ho kar wo apni nazron se dekhta hai dilon ko duniya se farq ho kar