naya purana ho koi mausam talash-e-ja-e-aman rahegi bahut dinon tak dilon ki sarhad par phir tashaddud ki jang hogi usul ki dhajjiyan udengi gali gali mein qabih lamhon ke dewtaon ka raqs hoga bahut dinon tak faza mein gard-o-ghubar hoga dhuan dhuan zindagi ki rahon mein khar-o-khas ka hisar hoga bahut dinon tak lahu lahu aasman hoga shajar shajar be-zaban hoga wo phul jin ki ragon mein apna lahu hai shamil badalte mausam ka sath denge hamare sab hi harif honge bagule maghrib se uth rahe hain phir ek taza sa zakhm hoga