lahrae ja tiranga aazadi ke aashiq wiron ke sar par lahrae ja lahra lahra kar aazadi ke paigham banae ja kohistani barf ki surat tujh mein tez safedi ganw mein ugne wali kapason ke manind rupahli pakke aam ke phal ki surat rangat kesriyali jaan-bazon ke pak lahu ki yaad dilane wali jangal ki aankhon ki surat sabz hai teri dhaari jaise dhan ki pahli konpal sundar komal pyari aur ashoka chakr mein amn-o-rahat ka ujyala lahra lahrane se tere bol hamara baala lahrae ja tirange