sharab-e-shor se labrez hai duniya ka paimana harif-e-din-o-danish hai mazaq-e-pir-e-mai-khana bashar iblis ko tazwir-e-nau ka dars deta hai muzayyan hai gunah-e-gunagun se har pari-khana ulum-e-nau se raushan bazm hai tahzib-e-hazir ki yad-e-tajdid ne dhaala hai dil-awez but-khana ye mana maghribi talim ne parwaz bakhshi hai ye mah-o-khur bhi ban jaenge ab qindil ka shana khuda ke chahne wale abhi tak bhole-bhaale hain bana rakha hai harz-e-jaan sada mazi ka afsana gunah-e-taza ki takhliq se iblis qasir hai dimagh-e-fitna-ju par hai musallat zof-e-pirana bahut majbur be-chaara hai khud pirana-sali se use malum kya hai masiyat ka taza paimana khuda wale tajjub hai ki masum-o-muqaddas hain azab-e-nau-ba-nau se hai murassa aaina-khana rah-e-tashkik par rakhsh-e-hunar paiham khiraman hai bahut mushkil hai fitrat ka abhi taskhir farmana musawat-e-nazar ka muddaton se shor sunta hun faza duniya ki hai lekin abhi tak firqa-warana hawas ka dars to yaro bahut hi khub hai lekin abhi quran ki tafhim se aajiz hai farzana buton ka todna tha kar-e-asan ahd-e-mazi mein wale mushkil hai dhana aaj ki hikmat ka but-khana qulub-e-asr-e-hazir mein abhi iman dhal jae faqiron ka nahin dekha hai ejaz-e-kalimana tafakhur ke marizon ke liye iksir hoti hai sarasar banda-e-'bebak' ki tarz-e-faqirana