dastawezi process mukammal hua kahinon ghaib-danon ki fitnagari ke zamane fana ho gae aur anjum-shanasi ke mahir falak pe badalti hui zindagi khoj karte hue mit gae nainwa ki khudai se mai ki bhari botalen mil gain zaiqe to sawa the magar jaane kyun kal-adam ho gae mazhabi aashram kaif ki kapkapahat se uryan hoi 300 hertz ki chikh biphri kisi samt se jins-e-adam ke kanon se bahne laga khun phatne lage phephde to mashaqqat ke circle se wenus ka mazdur thakne laga in hawaon mein udte hoi sab parinde khalaon mein gum ho gae yun khule bazuon se baghal-gir ushn ke abru khamida hue to usi pal mein khushki tari ke sabhi fasle mit gae arsh wale farishte mukhatab hue wo jo naeb the ulte qadam ho liye aaj ki shab suna hai ki naqqarchi sab bulae gae ek sayyar-e-falaki mohalle se kam ho gaya