mere khuda-e-buzurg-o-bartar ye sach hai zat-o-sifat tu hai qadir-e-maut-o-hayat tu hai ki khaliq-e-kaenat tu hai tujhi ne zarron ko rifaten din tujhi ne phulon ko nikhaten din shajar hajar sab ko azmaten din tujhi ne di thi hamare gulshan ko wo kali bhi ki jis ki khushbu masham-e-jaan mein utar gai thi wo mauj-e-pechan jo sahilon se guzar gai thi huruf ke shahr-e-be-nawa mein wo narm-rau surat-e-saba thi khayal ke dasht-e-be-faza mein wo ek barasti hui ghata thi ek aab-e-ju thi samundaron se jo be-karan thi wo shakh-e-gul thi jo aap hi apna gulistan thi wo subh-e-afkar ki tajalli jo khud-kalami ka aaina thi wo ek shab-e-sad ki ghadi jo shafiq man ki koi dua thi wo ek nannhi shagufta patti ye sach hai sadbarg se siwa thi wo ek mah-e-tamam goya hazar anjum ki ek ziya thi mere khuda-e-buzurg-o-bartar tujhe qasam hai hamein dobara wo khushbuon se bhari hansi de wo chand aankhon ki raushni de gulab lafzon ki tazgi de bahaar mausam ki phir wahi gum-shuda kali de ki us ke jaane se shahr-e-harf-o-nawa ki galiyan bahut hi sunsan ho gai hain ghazab ki viran ho gai hain