hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari is se hai pyar hum ko jaane ye duniya sari chun chun ke phul is ke malaen hum banaen karke singhaar is ka nis-din ise sajaen pahuncha den is ko ghar ghar hai kaamna hamari hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari har shabd is ka hirdai-pat par likha hua hai hindi zaban ka amrit dil mein utar gaya hai diwane hum hain is ke hain is ke hum pujari hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari baadhaen sab mita den hum is ke raston ki de den ise ek manzil insanon ke dilon mein ye gulshan-e-watan ki kahlati hai dulari hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari hindi zaban se 'mahir' hain pyar karne wale is ki kiran ke har-su hain khushnuma ujale is ke gulon ki khushbu lagti hai sab ko pyari hindi zaban hamari lagti hai hum ko pyari