jab ek hi chaman ki tum ho bahaar donon jab ek hi shajar ke ho barg-o-bar donon jab ek hi qalam ke ho shahkar donon jab ek hi watan ke ho iftikhar donon aapas ki phut se ho kyun dil-figar donon han chhod do ye ranjish ban jao yar donon farzand ho haqiqi tum mader-e-watan ke parwan chadh rahe ho mewon se is chaman ke yaksan hain jab qarine raftar ke chalan ke donon ho chand-suraj is gardish-e-kuhan ke muhtaj hain tumhaare lail-o-nahaar donon han chhodo ye ranjish ban jao yar donon aapas ki barhami se ghairon ki hai ghulami kyun ek dusre se karte ho bad-kalami khwab-o-khayal hai ek ab daur-e-shad-kaami barbaadiyon ka bais takrar hai maqami kar lun yagangat ke qaul-o-qarar donon han chhod do ye ranjish ban jao yar donon mazhab-parastiyon ne diwana kar diya hai apni briadri se begana kar diya hai barbaad murgh-e-dil ka kashana kar diya hai khali mai-e-tarab se paimana kar diya hai jab ek mai-kade ke ho baada-khwar donon han chhod do ye ranjish ban jao yar donon rahne mein kuchh hai 'kaifi' barbaad ho ke rahna kya gosha-e-qafas mein nashad ho ke rahna sikho watan mein apne aazad ho ke rahna gulzar-e-arzu mein shamshad ho ke rahna bahen gale mein dalo be-ikhtiyar donon han chhod do ye ranjish ban jao yar donon