hindostan
By betab-alipuriJune 18, 2021
har mazhab ki unchi shan
jis se bana hai desh mahan
sab ko deta prem ka dan
prem pyar ki hai ye khan
hindu muslim sikh isai
bodh aur jaini ki hai aan
path yahi hai pahla bas
ban jao sare insan
wir bano ai pyare bachcho
tum bhaarat ki ho santan
kisi ko koi kasht nahin
sab soe hain chadar tan
har mazhab ka aadar karta mera bhaarat hindostan
jis se bana hai desh mahan
sab ko deta prem ka dan
prem pyar ki hai ye khan
hindu muslim sikh isai
bodh aur jaini ki hai aan
path yahi hai pahla bas
ban jao sare insan
wir bano ai pyare bachcho
tum bhaarat ki ho santan
kisi ko koi kasht nahin
sab soe hain chadar tan
har mazhab ka aadar karta mera bhaarat hindostan
44513 viewsnazm • English