kahan the hum samundar si kisi khwahish ke sahil par hansti bhigti saat ki sangat mein hansi kitni sajal thi aankh ke har kunj mein titli ki surat udti phirti thi rah-e-shab mein ghana jangal ya koi ajnabi rasta hamare samne aata to us diwar ke sine se kitne dur nikal aae lahu ki tal par manzil dhadak uthti thi pahlu mein kisi ehsas ke dhundle ufuq se din nikal aata aur apne sath kya kya qurmuzi kirnon mein lete pyar ke sandes le aata bahut takrim ke mausam tah-e-jaan se ubharte the duaon se bhare sarsabz hathon ko yaqin tha jhilmilate khwab khushbu-kheziyon mein fard honge aur taqarrub ke kisi betab se pal ko jagaenge to sarpat bhagti ye umr ki hirni kisi zanjir-e-wada mein kahin ruk kar hamein chahat se dekhegi kahan hain hum kisi viran sahil par hamari aarzu ki kashtiyan aundhi padi hain aur jaise nind ke be-tab halkore ki zad mein hain agar suraj unhen us nind se aazad karne ke liye kirnon ko koi izn deta hai to wo aankhon pe apne hath rakh leti hain gahri na-gawari se aur ab to wasl ki mishal bhi khwabida hai sulgan se tahi hai aur us ke dasht mein har su barabar reshmi khwabon ki nili rakh udti hai