sehr-e-mausiqi hua phir gunj uthe gokul ke ban raqs farmane lagi phir wadi-e-gang-o-jaman phir shabab-e-mast nikla mal ke chehre par gulal phir nikhar aaya bahaar-e-lala se husn-e-chaman phir hawa-e-tund le kar aai holi ki bahaar hath mein pichkariyan le kar chale phir mard-o-zan phir junun-e-zindagi ko mil gaya nam-e-surur phir nazar aane laga har sadgi mein bankpan dholaken baje majire aur khadtalen bajin phir fazaen ho gain bansi ki lai se naghma-zan rang mein dubi hui hain gopiyan sar-ta-qadam ude ude pile pile nile nile pairahan