lalchi kitne khushamad-khor daulat ke ghulam khud-gharaz makkar ibn-ul-waqt jhuton ke imam banda-e-hirs-o-hawas ghaddar matlab-ashna paise ki khatir watan ko bechne wale bata kya tujhe ehsas-e-mahkumi kabhi hota bhi hai tu kabhi hindostan ke haal par rota bhi hai kya suni bhi hai kabhi mazduron ke dil ki pukar kya kabhi tu ne jhinjhode bazu-e-sarmaya-dar kya kabhi tu bhi wahan pahuncha hai ai zulmat-maab jagmagata hai jahan ilm-o-amal ka aaftab tere sine mein kabhi bhadki bhi hai ibrat ki aag teri nabzon mein kabhi machli bhi hai ghairat ki aag tere qaul-o-feal mein tasir honi chahiye yani tere hath mein shamshir honi chahiye