baj rahe hain madh-bhari aawaz mein holi ke saz khinch ke aankhon mein na aa jae dil-e-hirman-nawaz khelti hain rang aapas mein kunwari ladkiyan git holi ke zaban par hath mein pichkariyan naliyon mein gir rahe hain log pi pi kar sharab mulk mein shayad nahin un ke liye koi azab de raha hai galiyan be-nutq har pir-o-jawan wah kya kahna teri tahzib ka hindostan yun jalai ja rahi hain sainkadon man lakdiyan apne shauhar par sati hun jis tarah hinduwaniyan is tarah lakdi jalane se kahin chalta hai kaam kis qadar mohmal hai ai society tera nizam kuchh ghar aise hain jahan jalte nahin shab ko charagh ghaur farmate nahin us par magar ahl-e-dimagh lakdiyan chun chun ke lati hain saron par budhiyan jhonpadi se tab kahin uthta hai halka sa dhuan ta-ba-kai ye rasm-e-beja ta-ba-kai ye sufla-pan aao khelen khun ki holi jawanan-e-watan