banaya hai hum ne ye lakdi ka ghoda sada-sad sada-sad lagate hain koda ye karta nahin bhul kar bhi kabhi hat jidhar chaha phera jidhar chaha moda ye khata nahin thokaren raste mein bala se agar ho koi int roda na ye marta hai dolatti kisi ke kisi ka nahin is ne munh hath toda na is ne kabhi mujh ko ab tak giraya na bhaga na hargiz mera sath chhoda nahin ghas dane ki bhi is ko hajat hawa kha ke jita hai mera ye ghoda kamar is ki lagti nahin baithne se nikalta nahin hai koi phunsi phoda main chadhta hun roz is pe kapde badal kar naya mera ghoda naya mera joda chala-chal mere ghode sidha chala chal bahut chal chuka ab to rasta hai thoda