kya rang mere shahr ka ganga-jamani hai dehli nai ujdi hui dehli mein bani hai qabron ka pata hai na mazaron ka thikana ye shahr ki tamir hai ya gor-kani hai arbab-e-mashahir ka lene ke liye nam kuchh daur-e-guzishta ki bhi tarikh chhani hai 'irwin' ka kahin but to cliwe ki kahin street maidan mein sabze se bahaar-e-chamani hai rahte hain yahan shahi dafatir ke mulazim jin ko na kuchh ehsas-e-gharibul-watani hai aaina-e-khurshid ko bhi kat kar rakh de jo khak ka zarra hai wo hire ki kani hai kya kahte hain wo bekas-o-nachaar ki jin ko is shahr ke basne se gham-e-be-watani hai kheti jo nahin bhik pe hai in ka guzara hathon mein hi kashkol gale mein kafni hai ye rang bhi kuchh din mein badal jaega 'kaifi' kyun ye nai-dehli sabab-e-dil-shikani hai