hirs

auron ki kya kahiye khud mera dil bhi angaron ka matbakh hai
sada meri aankhon mein ek wo kashish dahakti hai jo

sab ko apni jaanib khinch kar mere war ki zad mein le aati hai
sab kuchh meri talab ki tishnagiyon ke dahane par hai

angaron ke us matbakh mein girne ko hai
gadha lajz lahu ek wo kailus jo angaron ka istihaala hai

us mere dil ki kali quwwat hai mein jis ke pas mein hon
ye quwwat mujh se kahti hai

dekh mere angare meri tadap ka rang hain ab kuchh to un ki khatir bhi
aur angare ugalti sanson ke sath ab mein

is duniya ke andar apne shikar ki talash mein
ek ek ruh ki ghat mein

ek ek ruh ke samne sawali ban ke khada hun
mere dil mein angaron ke dandane paiham judte aur khulte hain

bahar kisi karam ki banawat mein hont ek onkha thahra thahra tedha zawiya sa hain
koi mujhe ab pahchanega

kis tarah hans hans kar mujh se milti hai duniya bad-bakht


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close