aadam ki pahli aawaz in pattharon mein ab bhi chamak rahi hai jinhen pahli bar main ne apni apni zamin main dekha meri sar-zamin un barfab jismon se aabaad hai jin jismon mein khub-surat aankhen nai jannat ki safir hain fidyas main tujhe ek nae insan ka chehra dikhata hun us chehre par insaniyat ka ghreece hai aur azmat-e-adam ki wo taswir hai jo hamesha meri zamin par chamakti rahegi main aadam ko fitrat se azim samajhta hun meri raaton mein patthar chamakte main aur mere din marmar ki raaton se ziyaada raushan hain ye dekh ye aadam hai jis par raushni dahine kandhe se niche gir rahi hai raushan-dan ka darwaza band na karo abhi aadam ko apni hi zamin ke liye is raushni ki zarurat hai aur meri zamin par ab bhi wo saya maujud hai jis sae mein an-ginat raaten an-ginat rang aur an-ginat chehre maujud hain in andhere mein rafail hi nahin rodan aur henrimor bhi ghum rahe hain apne apne mujassamon ke sath magar mein ab ek nae aadam ka mujassama banaunga jis aadam ke chehre par apni zamin ki mitti ke sath apni zamin ka suraj bhi chamkega kash main is nae suraj ka mujassama bana sakun