khwahishon ke lams mein dubi hui daeron mein ghumti tanhaiyan ihtibas-o-jabr ki tarik shab muztarib ranjur gandum-gun sahar aisa lagta hai andhera kah raha ho zer-e-lab ai kabud-o-kor-chashm ai lain tujh ko bakhshi thi kiran az-rah-e-dil-sozi magar tu samajhta hai ki ye jud-o-sakha lutf-o-ataf tera istehqaq hai aur tu khuda-e-aftab jal bujhe muddat hui teri khudai ke diye bhag jitna bhagna hai zulmaton ke qahr se ho sake to phir jala bisri mohabbat ke charagh marg-bar-alam mein ek ummid ki mubham kiran ek bujhte dip ka maddham hirasan irtiash kaun jaane in charaghon ki ziya kab tak chale