main aagahi ke is bhayanak daur se guzar rahi hun jahan tamam lafz khokhle aur be-mani lagte hain jahan tamam sach jhut lagte hain jahan insanon ke naqab mein shaitan dikhai de jate hain jahan har baat upri aur be-maqsad si lagti hai jahan har rishta matlabi aur khud-gharaz dikhai deta hai kash ek bar phir se duniya husain nazar aane lage kash ek subh main so ke uthun to meri aankh wahan khule jahan main ne pahla khwab dekha tha