ho gai baat saf

mariya sahiba ki ek gudiya
aur subi ka ek gudda tha

aur donon mein chae par kal sham
zikr rishte ka aise hota tha

subi munh bigad kar boli
hunh na achchhi hain aadaten us ki

na mujhe koi khas lagti hai
tum to kahti thin lagti gudiya hansmukh hai

ye to bilkul udas lagti hai
kab se baalon mein ki nahin kanghi

chutiya dekho to ghas lagti hai
baat karne ka is ko dhang nahin hai

ye kahin m a pas lagti hai
chae gudde ke coat par dha di

ek dam bad-hawas lagti hai
nan ji gudiya nahin hai ye kam-sin

ye to gudde ki sas lagti hai
ai zara kok-wok mangwao

mere gudde ko pyas lagti hai
mariya sahiba ki gudiya ka

khincha subi ne aisa jab naqsha
un ko aata bhala na kyon ghussa

par bade zabt se ye farmaya
ai bahan ye khushi ka sauda hai

ho gai baat saf achchha hai
meri gudiya to khair jaisi hai

lat sahab ye khud kahan ka hai
bhaalu jaisi to is ki surat hai

tum to kahti thin bhola-bhaala hai
monchhen dekho to kitni moti hain

sar bhi pichhe se thoda ganja hai
kahin afsar to khair kya hoga

fifth mein fail ho ke bhaga hai
sab pata chal gaya mujhe bhi ab

kisi hotel ka ye to baira hai
is ki tankhwah bas zara si hai

tip ke milne hi par guzara hai
han ise kok bhi manga denge

dekh lo kis qadar na-dida hai
is nikhattu ko gudiya dene se

kuen mein phenk dena achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close