ek taraf rahat ka aur farhat ka kal ek taraf holi mein udta hai gulal ek taraf yaron ki ishrat-koshiyan ek taraf hum aur haal-e-pur-malal ek taraf daur-e-sharab-atishin ek taraf talchhat ka milna bhi muhaal dekhte hain tujh ko jab uthti hai huk aah ai hindostan ai khasta-haal rahm ke qabil ye barbaadi teri did ke qabil ye tera hai zawal kis qadar khun-rez hai kitna qabih teri masjid aur mandir ka sawal uf tere beton ki razm-araiyan aah un ke bahami jang-o-jidal apne farzandon ke ye atwar dekh dekh ye lanat ke qabil chaal-dhaal kis qadar zillat ke dil-dada hain ye be-kamali mein hain kitne ba-kamal sina-e-tahzib par hai panja-zan din ke jhagdon mein in ka ishtial daman-e-akhlaq par dhabba hai ek in ki wahshat-kheziyon ka ittisal