jis khak ki hai auj pe taqdir yahi hai jo radd-e-ghulami ki hai iksir yahi hai bedari-e-jamhur ki taswir yahi hai aazadi-e-afrad ki tamir yahi hai ai 'arsh' tere khwab ki tabir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai is se nahin achchha koi gulzar ise dekh is se nahin badh kar koi shahkar ise dekh is se nahin uncha koi darbar ise dekh is se nahin behtar koi didar ise dekh fitrat ne jo khinchi hai wo taswir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai shirwani-e-masum ki jagir na dhundo shirwani-e-mazlum ki jagir na dhundo shirwani-e-makhdum ki jagir na dhundo shirwani-e-marhum ki jagir na dhundo shirwani-e-marhum ki jagir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai gul-posh makan aur gul-andam makin bhi kamyab nahin husn zamane mein kahin bhi duniya mein bahut naqsh hain dilkash bhi hasin bhi jo khama-e-qudrat ki hai tahrir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai jis husn ka ushshaq sunate hain fasana jis husn ke har naz pe mitta hai zamana jis husn ka hai lab pe mughanni ke tarana jis husn ke jalwon ki na had hai na thikana us husn-e-jahan-tab ki tanwir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai sarmaya-o-mehnat ka hai jo masala-e-khas iflas-o-imarat ka hai jo masala-e-khas dahqan ki azmat ka hai jo masla-e-khas mazdur ki shaukat ka hai jo masala-e-khas is masala-e-khas ki tafsir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai ulfat ke payambar hain parastar isi ke ikhlas ki mai pite hain mai-khwar isi ke mardan-e-mujahid hain talabgar isi ke hindu hon ki muslim hain giraftar isi ke wabasta hain sab jis se wo zanjir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai sarmae ke beton ki hui khub dukan band jagir-paraston pe hui rah-e-aman band mahkumi-e-majbur ki kab se thi zaban band sadiyon ki ghulami ke hain kis darja garan band kategi jo ye band wo shamshir yahi hai firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai