dikhati hai kya rang kya shan holi nashat-o-tarab ka hai saman holi dikhati hai kya rang kya shan holi fazaon mein gunje hue hain tarane koi rang khele koi gae gane kahin chahchahe hain kahin qahqahe hain nikale har ek dil ka arman holi dikhati hai kya rang kya shan holi bahaaron se daman sajae hue hai nishan ranj-o-gham ka mitae hue hai lutati hai ghar ghar khushi ka khazana sajati hai har lab pe muskan holi dikhati hai kya rang kya shan holi adawat ki chingariyon ko bujha kar dilon mein mohabbat ki kaliyan khila kar sabaq bhai-chaare ka deti hai sab ko banati hai insan ko insan holi dikhati hai kya rang kya shan holi