ek aurat ki zaban se chal meri sundar saheli hum kahin chhup jaenge aaj hai holi ka din pitam mere ghar aaenge samne jab main na aaungi bahut ghabraenge har jagah dhundenge mujh ko dhundh kar sharmaenge samne aa jaungi pitam ke khush ho jaenge un mein main kho jaungi aur mujh mein wo kho jaenge mere man ke chhedne ko mujh se wo baithenge dur main jo uljhungi to pitam muskuraenge zarur uth rahi hai lahr si lahra raha hai mera man ho sake to chum lungi aaj pitam ke charan chhin kar aakash ki godi se tare laungi un ko bhi darungi aur main khud bhi dari jaungi sej phulon ki banaungi main pitam ke liye barra se kah do ki ab fursat nahin gham ke liye aaj pitam aaenge aaegi mere ghar bahaar dekh bigda to nahin ai aaine mera singhaar udi udi badliyon se chhan ke girti hai phuwar aaj pitam aaenge main ho rahi hun be-qarar ban gaya hai zarra zarra mere ghar ka chashm-e-hur aaj pitam aaenge aaega mere ghar mein nur chhid rahi hai ragni man ki rabab-o-chang se aaj nahlaungi pitam ko gulabi rang se bhig jaenge to daman se hawa dungi unhen band kar dungi dware aaj rokungi unhen sarw ke sae mein pati hun main pitam ki jhalak aaj har aawaz mein sunti hun saghar ki khanak pi mere ghar aaenge shayad nahin tujh ko khabar ai papihe bawre topi kahan bola na kar