hum hind ke shaidai

is des ki wadi mein har phul mahakta hai
har qaum ke rahbar ka kirdar lahakta hai

apna ho ki begana bulbul sa chahakta hai
har mazhab-o-millat ne bhaarat mein aman pai

hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai
ek amn-o-mohabbat ki tafsir hai ye gulshan

isar-o-ukhuwwat ki taswir hai ye gulshan
tamir-o-taraqqi ki tanwir hai ye gulshan

har gosha-e-bhaarat hai khud apna tamashai
hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai

har fard ko jine ka andaz sikha denge
kya shai hai rawadari duniya ko dikha denge

har nasl ke insan ko hum ek bana denge
suraj ki kiran ab to baadal se nikal aai

hum hind ke rakhwale hum hind ke shaidai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close