sahar ke jhutpute mein ga rahi thi raat ki laila chaman mein baj raha tha satwat-e-rafta ka ek tara munaqqash thin faza mein ja-ba-ja anwar ki shaklen mujhe paigham jalwa de rahi thin surmagin aankhen falak par lukka-e-abr-e-subuk-raftar raqsan tha bahisht-e-husn tha duniya ki barnai ka har zarra abhi chheda na tha dil ne mere afsana-e-mazi man ankhon ke aage khinch gai taswir 'jauhar' ki salam aise mujahid nek-sirat pak-tinat par jo apni jaan tak qurban kar de mulk-o-millat par