main sadqe tere haq ke pyare kanhayya zamin par khuda ke utare kanhayya nahin ek gokul pe mauquf jalwe tere har kahin hain nazare kanhayya maza to yahi hai teri marifat ka ki har qaum samjhe hamare kanhayya wahi to hain bas zinda dar-e-mohabbat tere ishq ke jo hain mare kanhayya jafa-o-sitam ke andheron mein pal kar bane khalq mein chand tare kanhayya mili hai unhin ko to rah-e-haqiqat chale hain jo tere sahaare kanhayya ajab kya mazalim ki tarikiyon mein zamana tujhe phir pukare kanhayya jo hain aaj bhi haq-parasti ke mahram wo zinda hain tere sahaare kanhayya na wo kans hai aur na wo daur 'afqar' magar rah gae haq ke pyare kanhayya