aaj hai pandrah august qaum ke tehwar ka din aaj ke din hi to aazad hue the hum log kyon na is din ko masarrat ke liye waqf rakhen han isi din to ghulami ka fusun toda tha kyon na is din ko riwayat ke liye waqf rakhen des mein apne hain baqi kuchh andhere ab bhi jehl-o-iflas ke sae hain ghanere ab bhi des aazad hue kitne baras bit gae kitni shamon ko mile hain na sawere ab bhi des ke amn nahin amn-e-jahan ki khatir han abhi aur abhi aur ladenge hum log aaj ke din ki masarrat ke bhi mani hain yahi taza-dam ho ke abhi aur badhenge hum log