aao bachcho tum ko bataen aankhon dekha haal sunaen hum ne is duniya mein rah kar kaisa kaisa dekha manzar garmi dekhi sardi dekhi tezi dekhi narmi dekhi baadal dekha pani dekha dariya ki tughyani dekha kela dekha aam bhi dekha pista aur baadam bhi dekha rang birange phul bhi dekhe hare gulabi nile pile umr ki subh sham bhi dekha taklif-o-aram bhi dekha mazduron ki mehnat dekhi un ki qadr-o-qimat dekhi be-karon ka rona dekha waqt ko apne khona dekha aur na puchho kya kya dekha chalta phirta paisa dekha paisa hai ek aisi taqat jis mein hai duniya ki azmat jahil ko bhi aaqil ko bhi naqis ko bhi kaamil ko bhi paise ka dam bharte dekha jhut ko bhi sach karte dekha lekin daulat se bhi badh kar hum ne dekha hai wo gauhar paise par bhi raj hai jis ka paisa bhi muhtaj hai jis ka jis ki hai duniya bhi sail jis ka hai paisa bhi qail jis ne sab ko shad kiya hai paise ko ijad kiya hai jis ki badaulat aage badh kar aadmi pahuncha chand ke upar us gauhar ka nam hai pyara us ka sara kaam hai pyara ilm use kahte hain jahan mein azmat jis ki kaun-o-makan mein ilm hai duniya ki sachchai dur hui hai is se burai