jashn-e-azadi-e-jamhur manaen logo goshe goshe mein musawat ka charcha kar den koi bhuka na rahe koi bhi nanga na rahe aaj har fard ki inam se jholi bhar den apne kirdar ko is tarah nikhaaren hum log dushman-e-jaan bhi nigahen na uthane pae amn ke phul se rahon ko saja den itna zakhm kanton ka koi panw na khane pae bughz-o-nafrat ka andhera na rahe dharti par hum mohabbat ke charaghon se charaghan kar den adl-o-insaf ki kirnon ko farozan kar ke haq-parasti ko zamane pe numayan kar den hum agar apne masail ka koi hal dhunden kitne uljhe hue zehnon ko sukun mil jae azm-o-himmat se agar kaam le zehn-e-jamhur dahr ke shoala-mizajon ka jahan hil jae