hum apne khwab-e-khush-fahmi se utthe bahut shadan-o-farhan chale duniya ki jaanib mol karne ko hamari jeb mein mehr-o-wafa ikhlas aur sachchai hai lekin yahan bazar mein sab log kahte hain badal kar rah gai hai ab currency is zamane ki tumhaare pas to jo kuchh bhi hai be-kar raddi hai ki ab waqat nahin hai koi jis ki yahan to ab faqat makr-o-fareb aur jhut ka sikka chalega agar ye pas hai to sari duniya hai tumhaari hamari sadgi par ek zamana hans raha hai jise dekho tajjub se yahi wo puchhta hai kahan tum ab talak soe hue the ki duniya is qadar tabdil hone ki khabar tum tak nahin pahunchi nahin malum ye kya majra hai wagarna hum to sunte aae the ab tak ki jo ek arsa mahw-e-khwab rahte hain kisi behtar zamane mein utha karte hain lekin hamare sath ye kya ho gaya hai