bahut dur tak ye jo viran si rahguzar hai jahan dhul udti hai sadiyon ki be-e'tinai mein khoe hue qafilon ki sadaen bhatakti hui phir rahi hain, darakhton mein aansu mein sahraon ki khamushi hai udhadte hue khwab hain aur udte hue khushk patte kahin thokaren hain sadaen hain afsun hai samton ka hadd-e-nazar tak ye tarik sa jo kura hai ufuq-ta-ufuq jo ghaneri rida hai jahan aankh mein tairte hain zamane ki hum dubte hain to is mein talluq hi, wo raushni hai jo insan ko jine ka rasta dikhati hai kandhon pe hathon ka lams-e-gurezan hain hone ka mafhum hai ghaaliban wagarna wahi raat hai chaar-su jis mein hum tum bhatakte hain aur ladkhadate hain, girte hain aur aasman, hath apne badha kar kahin tank deta hai hum ko kahin phir chamakte, kahin tutte hain