kya faqat dekhte rahne se masail ki girah khulti hai kya faqat aankh ki putli mein hai mahfuz khudai sari hum ki insan nahin aankhen hain hum ne aankhon ko khuda samjha khudai jaana aaina dekha to in aankhon ne khud ko bhi nahin pahchana dekhte dekhte pathra gain donon aankhen phir bhi chehra na nazar aaya kahin phir bhi dekhe nahin dast-o-bazu jaan kar hum ne har ek chiz se inkar kiya zat se zat ke gard khudai ke manazir se manazir mein chhupi sadiyon ki mazlum tamannaon se phod do dekhne wali aankhen hum tamashai nahin khel ke kirdar bhi hain apne kirdar ke zindan mein giraftar bhi hain hum se zindani hazaron lakhon aao sab ke liye duniya dekhen aao is koh ko taskhir karen jis ke pare subh ka rang hai aur rang ki tanwiren hain aao tanwiron ko aankhon se nahin sare badan se dekhen