nikle dahan-e-top se barbaadiyon ke rag bagh-e-jahan mein phail gai dozakhon ki aag kyun timtima rahi hai ye phir sham-e-zindagi phir kyun nigar-e-haq pe hain aasar-e-beogi ifrit-e-sim-o-zar ke kaleje mein kyun hai phans kyun ruk rahi hai sine mein tahzib-e-nau ki sans amn-o-aman ki nabz chhutti ja rahi hai kyun? baalin-e-zist aaj ajal ga rahi hai kyun? ab dilhanon se chhin liya jaega suhag ab apne aansuon se bujhaen wo dil ki aag barbat-nawaz bazm-e-ulu idhar to aa dawat-dah-e-payam-e-ubudi idhar to aa insaniyat ke khun ki arzaniyan to dekh is ki aasman wale ki be-dadiyan to dekh masuma-e-hayat ki bechaargi to dekh dast hawas se husn ki ghaarat-gari to dekh khud apni zindagi pe pashiman hai zindagi qurban-gah-e-maut pe raqsan hai zindagi insan rah sake koi aisa jahan bhi hai is fitna-za zamin ka koi pasban bhi hai o aaftab-e-rahmat-e-dauran tulu ho o anjum-e-hamiyat-e-yazdan tulu ho