hum mahi-gir the chamakte paniyon mein chamakti machhliyan pakadne wale nile samundar aur nile aasman ke darmiyan phaili hui nili dhup hamare jismon mein utar gai thi jis se raat ki tariki mein hamari aankhen raushan rahti thin aur hamare baal sone chandi ke taron ki tarah jagmagate the phir yun hua ki nila samundar khushk ho gaya nile aasman mein surkh dore pad gae aur qismat ne hamein charwahe bana diya hamare maidanon ka sabza bhi bahut hasin hai aur chhitnar pedon ke sae bhi bahut khushk hain lekin hamare andar basi hui nili dhup hamein betab rakhti hai aur raat ki tariki mein hamari raushan aankhen ab bhi chamakti machhliyon ko dhundhti hain kyunki hum mahi-gir the