jiran tu har-waqt ye kachchi chhat ka kya rona roti hai barsaten jade pale garm hawa aur dhup sulagti mausam ki har sakhti tujh ko sahna hi hai pakki chhat ko dekh ke thandi aah na bhar mere jaisi ban jaane ki chah na kar jo kuchh tu dekha karti hai sab aankhon ka dhoka hai dukh ke mausam tujh se ziyaada mere dil ne jhele hain hum donon ke dukh sanjhe hain tere pas to la-ilmi ki daulat hai mere pas to wo bhi nahin hai khali hath aur khali dil bholi aurat tu kya jaane main bhi tere jaisi kachchi chhat ke niche rahti hun