hudud-e-shahr se bahar kadakti dhup mein chatiyal pahadon par main nange panw chalna chahti hun mujhe mahsus hota hai hawa sahra mein tanhai ka nauha padh rahi hai chatanon ke badan mere gulabi narm talwon se kuchal jaane ki hasrat mein sulagte hain dahakte pattharon ke hont meri ungliyon ke lams ki chahat mein jalte hain kisi zi-ruh ke qadmon ki aahat ko tarasti ye chatanen jaane kab se muntazir hain un ki jo dukh bant lete hain qarib aate hain duri ki khalijen pat lete hain main un se ja milungi aur sargoshi karungi suno main bhi dukhi hun farq bas ye hai tumhein tanhai ka gham hai mujhe logon se mil kar dukh mile hain suno tanhai be-shak jaan-gusil hai dushman-e-dil hai magar tanhai mein phir bhi aman hai ye dukh kaisa hi gahra kyon na ho phir bhi rag-e-jaan se qarib aae hue logon ke bakhshinda dukhon se kam hi hoga kam hi hota hai use sahna bahut mushkil sahi mumkin to hota hai