ab ye kaisi uljhan hai ab ye kaisa jhagda hai baat thi mohabbat ki aur tum mohabbat par ek hi mohabbat par kab yaqin rakhte the tum to har ghadi apni dil-barana aankhon mein ek nai rifaqat ka khwab le ke uthte the aur apni shamon mein apne khwab-o-khwahish ke be-libas jazbon ko shauq se sajate the aur aise aalam mein jism-o-jaan ke mausam mein ek hum hi uljhan the hum to ja chuke jaanan dil pe bewafai ke zakhm kha chuke jaanan ab ye kaisi uljhan hai ab ye kaisa jhagda hai