ek din apne kamre mein main baitha baitha soch raha tha jitni hain be-kar ki chizen sab ko aaj main yakja kar lun aur kabadi ko de aaun ghar mein ek kamra hai jahan par bahut si chizen padin hui hain jis mein mere kaam ka kuchh bhi nahin hai ek lathi hai ek batwa hai katthe chune ki dibiya hai kahin sarauta pada hua hai tangi hai kone mein ek chhatri kali kali jis ko chuhon ne qatra hai jagah jagah se ek lakdi ki kursi bhi hai budhi si aur langdi-luli is kamre ke ek kone mein ek chaupai padi hui hai apni qismat ko roti hai bilkul us ke bazu mein hi budha sa ek takht rakha hai kide jis ko chat rahen hain takht ke aage bilkul aage chite ki ek khaal padi hai bhunsa bhar ke rakha hua tha jis ke andar ab to wo chuhon ka ek mohalla hai kuchh hirno ke sar bhi hain diwar pe latke ab tak jin ke upar ab chidiyon ne apne apne taj-mahal tamir kiye hai kuchh talwaren khun ki pyasi pyas bujhane tadap rahin hain ek tote ka pinjra bhi hai ek surahi rakkhi hui hai ek bimar sa huqqa bhi hai khansta rahta hai jo ab shayad cancer ne us ko bhi jakda hai ek lakdi ki almari bhi kone mein khamosh khadi hai jis mein kuchh bosida kapde rakkhe hue hain ek sanduq hai jis ke andar kuchh zewar hain jinki qimat ab bazar mein kuchh bhi nahin kuchh german aur kanse pital ke bartan bhi rakkhe hain ek tijori bhi rakkhi hai jis ko dekh ke ab tak sari chizen jalti hain ek na-bina chashma bhi hai ek pagdi bhi rakkhi hui hai kuchh jute chappal bhi hain jo aundhe chitte lete hain tute-phute se ek do hath ke pankhe bhi hain aur ek taq mein chand kitaben bhuki pyasi chikh rahin hain ek kone mein kuchh taswiren padi hui hain mere purkhon ki taswiren jin ke upar dhul jami hai purkhon ki ye shan-o-shaukat ek kamre mein band padi hai