khastagi shahr-e-tamanna ki na puchh jis ki buniyaadon mein zalzale mauj-e-tah-e-ab se hain dekh ummid ke nashshe se ye bojhal aankhen dekh sakti hain jo aainda ka suraj zinda dhup ke pyale mein zist ki hariyali zard chehre pe ye kaisa hai pareshan lakiron ka hujum aur kyun khauf ki bad-shakl pachhal-pai koi tujhe bahon mein jakadne ko hai zalzale nind se bedar hua chahte hain kya' to kya chhod bhi shahr tamanna ka khayal dekh ummid ke nashe se ye bojhal aankhken shahr mismar kahan hota hai shahr aasar-e-qadima mein badal jaega