ek nazm ek ghazal uljha uljha sa koi sher kahen ek afsana kahani ya koi ek kitab koi taswir koi khaka koi ek khayal dil ke ek kone mein kahin kaliyon ke chatakne ki sada subh-dam is mein bhige hue phulon ki mahak dur dhundhlae hue rangon ke parde se pare dubte aur ubharte hue naghmon ki sada gahri aankhon mein kahin aansu chhalakne se bhi pahle ka saman gar kabhi aise hi kuchh narm se jazbaat ko alfaz ka pairahan dun hathkadi hath mein pad jati hai aur kaghaz pe kisi parda-e-simin ki tarah ek ek kar ke ubharte hain hazaron chehre bain karte hue be-asar gumnam sawal puchhte hain ke ye insaf lahu mein kab tak teri talwar hai ye tera qalam aur phir dil ke kisi kone se aati hai sada kitne hi hath hain jo narm se jazbaat raqam karte hain ye qalam tesha o talwar hai in hathon mein amn-o-insaf ki be-bak tamanna ke liye phir se ek bar use waqf karo