dur aankhon se bahut dur, kahin ek tasawwur hai, jo be-zar kiye rakhta hai wo koi khwab hai ya khwab ka andesha hai jo mere soch ko mismar kiye rakhta hai dur, qismat ki lakiron se bahut dur, kahin ek chehra hai, tere chehre se milta-julta jo mujhe nind mein bedar kiye rakhta hai dur se, aur bahut daur ki aawazon se ek aawaz bulati hai sar-e-sham mujhe jaanta hun main mohabbat ki haqiqat lekin phir bhi aaghosh-e-tamanna mein, tadap uthta hun chehre chehre pe bikharti hui, aawazon mein teri aawaz se aawaz kahan milti hai ek qindil khayalon ki magar jalti hai tu mere pas, bahut pas, kahin rahti hai dur hai dur bahut dur, magar phir bhi, mujhe ek ummid sar-e-sham saja rakhti hai ek uljhan mujhe raaton ko jaga rakhti hai